Arzu-e-sahar mein kiya karti
zindagi ko basar mein kiya karti
ashk behnay mein ik tabaahi thi
rokti na agar to kiya karti
mujh ko urrnay ka shoq tha hi nhi
baadalon per safar mein kiya karti
shehr veeraan, manzilen ma’adoom
aur tanha dagar- mein kiya karti
essi cheezon ki uss ko qadr na thi
apnay dil ko nazar mein kiya karti
saray shikway, gilay sbhi such thay
maanti na agar to kiya karti
Dil ki baazi mein haar behtar thi
phir bhala jeet kar mein kiya karti
Leave a Reply