Rab Ne Mila Fiya
Tuesday,11th June 2019
Rab tera bhi tha
or rab mera bhi tha
bas fark itna hi tha
tu tuj me thi or me muj me tha
Par rab ne mujhe mila diya
or surila kanth bhi de diya
“ban ja tu uski”san me aisa bata diya
mere ansh ne hi usme janm liya
tune to ki thi pehal
“nahi chahiye mujhe mahal”
bas chal padi hamari manjil
ham tair rahe sukh ki jil
tu to meri manpasand thi
mere dil ki ek khwab thi
thi aanand ka ek khajanaa
mujhe mil gaya mano parvana
vafaka hame na puchho
apne aansu khud poncho
mat lao man me ochha
yahi rahegahamare lie achchha
hardam to ham saath hai
tumhara hath mere hath me hai
bas naam to ab leta tera
ab kya hai yaha mera
ai hasina
ab manjaa mera kehna
aaja samajaa meri bahon me
bas karle bharosa mere me
Hasmukh Mehta
Leave a Reply